اچھا تمہارے شہر کا دستور ہوگیا
جسکو گلے لگا لیا وہ دور ہوگیا
کاغذ میں دب کے مرگئے کیڑے کتاب کے
جس کو گلے لگا لیا وہ دور ہو گیا
Achchha tumhare shehr ka dastoor ho gaya
Jisko gale laga liya woh door ho gaya
Kaghaz mein dab key margaye keedey kitab ke
Deewana be padhe likhe mashhoor ho gaya
Mehlon mein ham ne kitne sitaare saja diye
Lekin zamin se chand bahut door ho gaya
Tanhaiyon ne tod di ham donon ki ana
Aina baat karne pe majboor ho gaya
Subhe visaal punch rahi hai ajab sawaal
Woh paas aagaya ke bahut door ho gaya
Kuchh phal zaroor ayenge roti key ped mein
Jis din mera matalba manzoor ho gay a
Bashir Badr
إرسال تعليق